Monday, October 09, 2006

Kya kahen rang zamaane waale

Kya kahen rang zamaane waale
Kaise hotay hain shabaane waale [shabana = of night]
Apne hote hain waadashikan aksar [waadashikan = one who voids promise]
Gair hotay hain nibhaanay waale

Ta umar aur zara chand fuloos [fuloos = money]
Kaun rukta hai yahan
Tum bhi ho jaanay waale

Dil ka astar to purza purza hai [astar = base]
Phir bhi aatay hain silaanay waale

Koi ashraf nahi hotaa hai yahaan [ashraf = gentleman]
Bas dikhaatay hain dikhaane waale

Asliyat ko bhi jaan jaaogay
Aa gaye gar nahi aane waale

Harkatein ki to ungliyaan uthheen
Tum bhi to thehray zamaane waale

Ab talak laut ke aatay hi rahe
Hamko lekar kahin jaanay waale

Hamse matlab to ban chuka sabka
Ab kahan saath nibhaanay waale

Goonjtee hain dhadkanen meree
Kaun hain gasht lagaane waale

Kya tasalli mujhay dilaayenge
Door se paas bulaane waale

Kaise aatay hain rehnuma ban kar
Ek galat raah dikhaane waale

Chup raho aur pareshaan na karo
Hamse kehte hain sataane waale

Hamne ye pyaar to naahaq hi kia
Aaj kehte hain bataane waale

Phir kabhi aake zara dekh to le
Ik dafa shakl dikhanay waale

Dam bharo ya na bharo kuchh bhi karo
Ud hi jaatay hain na aaneay waale

Raat bhar jaaganay ki koshish may
So hi jaatay hain jagaanay waale

Chaaho to waada hamsay kar lo magar
Aur hotay hain nibhaanay waale

Aaj khaaye hain taaza zakhm Vivek
Wo khaday hain na jalaanay waale

Dil me aaye to sher likhtay gaye
Ab sunaayengay inhe gaane waalay

No comments:

लिफ़ाफ़े ( एक नज़्म )

उनकी यादों के लिफ़ाफ़े को आज खोला है  कितनी प्यारी सी ये तस्वीर मिली है मुझको  जी में आता है के सारे वो लम्हे फिर से जिऊँ    क्या ख़बर कौन से प...