koi pooche hai kya hai zindagi
kya ye saansen hain kya hai zindagi
koi jalta hua dhuan hai ya
paani paani hai kya hai zindagi
paani paani hai kya hai zindagi
sabko milta hai ek mauka magar
jaane kab koi sab ye jaanta hai
kya yahan aaye hain hasil karne
kya tamaasha hai kya hai zindagi
jo samajhte hain aklamand khud ko
wo kya samjhenge kya hai zindagi
dil dimagon ke pare baithta hai
jo samajhta hai kya hai zindagi
kya ye jakdan hai kya ye bandhan hai
in libaason me kya hai zindagi
koi aazaad kar de pinjar se
aur samjha de kya hai zindagi
kya hai jannat kya do zakh hai vivek
aur kya maut kya hai zindagi
jab nikal jaayega mera aakhiri dum
tab samajh ayega kya hai zindagi