Thursday, October 30, 2008

Zamaana Badal Gaya (ज़माना बदल गया)

Shikwa na kar aye dil ke zamana badal gaya
शिकवा न कर ऐ दिल के ज़माना बदल गया
Tumne tha jo suna wo fasaana badal gaya
तुमने था जो सुना वो फ़साना बदल गया

Gaate rahe ham yun hi dil ka haal ab talak
गाते रहे हम यूँ ही दिल का हाल अब तलक
Jane ye kab hua ke tarana badal gaya
जाने ये कब हुआ के तराना बदल गया

Hamne tha bade pyar se paala usay magar
हमने था बड़े प्यार से पाला उसे मगर
Bulbul ka mere ghar se thikana badal gaya
बुलबुल का मेरे घर से ठिकाना बदल गया

Aisi chali hawa ke ye rishtay hue fuloos
ऐसी चली हवा के ये रिश्ते हुए फुलूस
Hamdard mera koi puraana badal gaya
हमदर्द मेरा कोई पुराना बदल गया

Sabko ye shikaayat ke ab aatay nahi hain ham
सबको ये शिकायत के अब आते नही हैं हम
Wo kya hai ke duniya ka bulana badal gaya
वो क्या है के दुनिया का बुलाना बदल गया

Pehle to na aane ki vajha unki aur thi
पहले तो न आने की वजह उनकी और थी
Ab kya ke na aane ka bahana badal gaya
अब क्या के न आने का बहाना बदल गया

Sunday, October 26, 2008

Tauheen

Gham jo karta hai dil kis liye kis liye
ग़म जो करता है दिल किस लिए किस लिए
Kaun apna hai ham kis liye kis liye
कौन अपना है हम किस लिए किस लिए
Saath majdhar me chhodna hai agar
साथ मजधार में छोड़ना है अगर
Hath me haath phir kis liye kis liye
हाथ में हाथ फिर किस लिए किस लिए

Jab ke ahl-e-Khuda Khaab se kam nahi
जब के एहल-ऐ-ख़ुदा ख़ाब से कम नहीं
TarjumaaN dil me hai kis liye kis liye [TarjumaaN = interpretation]
तर्जुमाँ दिल में है किस लिए किस लिए
Maut hai zindagi, zindagi maut hai
मौत है ज़िन्दगी, ज़िन्दगी मौत है
Tohfa-o-taaj-e-takht kis liye kis liye
तोहफा-ओ-ताज-ऐ-तख्त किस लिए किस लिए

Jab safar ka koi hamsafar hi nahi
जब सफर का कोई हमसफ़र ही नहीं
Ishq ki tishnagee kis liye kis liye [tishnagee=desire]
इश्क की तिश्नगी किस लिए किस लिए

Too pashemaaN nahi fikr-e-anjaam se [pashemaaN=ashamed]
तू पशेमां नहीं फ़िक्र-ऐ-अंजाम से
Phir ye bechaargee kis liye kis liye
फिर ये बेचारगी किस लिए किस लिए

Kal wo kehta tha tum ab rahe na mere
कल वो कहता था तुम अब रहे ना मेरे
Mai pareshaan hoon kis liye kis liye
मैं परेशान हूँ किस लिए किस लिए

Raat se subah tak sochte ham rahe
रात से सुबह तक सोचते हम रहे
Shaam hoti nahi kis liye kis liye
शाम होती नहीं किस लिए किस लिए

Saans lena to kab ka bhula ham chuke
साँस लेना तो कब का भुला हम चुके
Jaan jati nahi kis liye kis liye
जान जाती नहीं किस लिए किस लिए

Aaj mehngi badi lag rahi hain mujhe
आज महंगी बड़ी लग रही हैं मुझे
Pyar ki qeematein kis liye kis liye
प्यार की क़ीमतें किस लिए किस लिए

Kitni tauheen apni sahoge vivek
कितनी तौहीन अपनी सहोगे विवेक
Masl-e-insaaniyat kis liye kis liye [masl=likeness]
मस्ल-ऐ-इंसानियत किस लिए किस लिए

Tuesday, February 12, 2008

Kis Liye?

Pyaasa rakhne ki to aadat hai koi baat nahi
Itnaa ehsaan karo pyaas na badhaayaa karo
Tere baGair haqeeqat may jeena seekh liyaa
Khudaa ke waastay khaabon me ab na aya karo

-- xx -- xx -- xx -- xx -- xx -- xx -- xx -- xx

Pyaar tumse jo kia hamne ye na socha thaa
Ke imtihaan denay ke silsilay hain ye
Kisay khabar thi nikhaalis tere khayaalon ki (Nikhalis = Impure)
Kisay pata tha tere chund mashGalay hain ye (MashGala = Entertainment)

Pyaase itne rahe ke ab hame ye ilm nahi
Aankh se boond jo girti hai kis liye hai ye

Hathkadi baandh kar jo pyaar se sehlaate ho
Pyaasa rakhne ki tumhe pyaas kis liye hai ye

Aur tadpaao hamay ham na uff karayngay sanam
Dil jo hai, hai ye khilona, tere liye hai ye

Ret muthhi me thamaa kar ke haath khench lia
Ab zara ye to bata do ke kis liye hai ye

Pyaar koi na karay ye hai guzaarish meri
Pyaar karne ke silay aap dekhiye hain ye

लिफ़ाफ़े ( एक नज़्म )

उनकी यादों के लिफ़ाफ़े को आज खोला है  कितनी प्यारी सी ये तस्वीर मिली है मुझको  जी में आता है के सारे वो लम्हे फिर से जिऊँ    क्या ख़बर कौन से प...