Wednesday, January 24, 2007

Just like that

क्यूं हम आये हैं ज़िन्द्गी में तुझे हम क्या कहें

Initials of ghazal 1
=============
Yoon bhi kabhi sukoon se jahan me hamara guzaaraa na hua
Jab jee rahe thay khaab me haqeeqat me aana gawara na hua
Jeete hain itni shaan se hamsaaya banke ham
Jeene ki aarzoo bhi haqeeqat ka sahaaraa na hua

Initials of ghazal 2
=============
Manzil ko chal paday thay koi bhi saharaa na hua
Khaabon ko chun rahe thay haqeeqat se guzaaraa na hua
Ham jee rahay thay shaan say ham-saaye ki tarah
Aur saaya reh guzar me haqeeqat me hamaara na hua

Initials of ghazal 3
=============
Ham yahaan aatay hain dilon ki nawaazish karne
Dekhiye gaur se fursat se kisi zehen ki tarah
Bas guzaarish hai haqeeqat na udhayde koi
Ham to kirdaar nibhaatay hain pairahan ki tarah

Ik muhabbat thi kabhi taazaa pankhudi jaisi
Daag jisne hai kiya dil pe kisi rauzan ki tarah

Hamko maaloom hai raatein hain pareshaan teri
Saaf dikhti hain tere chehre pe ye shikan ki tarah

लिफ़ाफ़े ( एक नज़्म )

उनकी यादों के लिफ़ाफ़े को आज खोला है  कितनी प्यारी सी ये तस्वीर मिली है मुझको  जी में आता है के सारे वो लम्हे फिर से जिऊँ    क्या ख़बर कौन से प...