Thursday, March 23, 2006

Ye zubaaN kehne ko tarastee hai

But hue ham jo tumko dekh lia [But = Idol]
Ab to bas husn ki parasti hai [Parasti = Worship]
Shokh nazaron se zara dekho to [Shokh = Attractive]
Ye zubaaN kehne ko tarastee hai

Husn paya hai tumne ya nusrat [Nusrat = Victory]
Teri aankhon me abr-e-masti hai [cloud of enjoyment]
Ham hue hain tere deewane sanam
Ye zubaaN kehne ko tarastee hai

Aaj kehne do hame dunia se
Too hi too mere dil me basti hai
Apni aankhon se hame chup na karo
Ye zubaaN kehne ko tarastee hai

Tum kaho ya na kaho kuchh na kaho
Ye mera dil hai dil ki basti hai
Tum yahan aao phir na jaao kahin
Ye zubaaN kehne ko tarastee hai

Ye ghazal tere tassavvur se likhi
Warna apni bhi koi hasti hai [existence]
Too hi shayar hai mere ghazlon ki
Ye zubaaN kehne ko tarastee ha

Sunday, March 05, 2006

Yaad aate ho magar..

Kuchh nahi to meri tasveer ko aage rakhna
Kya pata kab tera dil aankh milana chaahe

Tujhko kya chaandni ke noor ki aadat si hui
Bujh gai shamma to too dil ko jalana chaahe

Haath hardam hi kisi dost ka thaama hamne
Aaj qaatil se ye dil haath milaana chaahe

Ham wafa karte hain aur tumko koi ilm nahi
Kaise na-shukra se dil pyar nibhaanaa chaahe

Josh me hosh na hota to tujhe paa lete
Ek mauka mile dil hosh gawaana chaahe

Ham to hardam hain tujhe bhoolne ki koshish me
Yaad aate ho magar jab bhi bhulaana chaahen

Hamne to dil ki siyahi se tujhpe likkhi ghazal
Aur too hai ke bahaanon se mitaana chaahe

लिफ़ाफ़े ( एक नज़्म )

उनकी यादों के लिफ़ाफ़े को आज खोला है  कितनी प्यारी सी ये तस्वीर मिली है मुझको  जी में आता है के सारे वो लम्हे फिर से जिऊँ    क्या ख़बर कौन से प...