Sunday, February 19, 2006

Zaroori to nahi

Ibtedaa ham karen har baar zaroor to nahi
Tumhari baat munaasib ho zaroori to nahi

Imtehaan lete hamara to sabak padh lete
Imtehaan leke sabak dena zaroori to nahi

Be-sabab baat badhate ho chalo so jaao
Raat ke baad subaha na ho zaroori to nahi

Kabhi hame bhi sawaalon ka ittefaq to do
Hameshaa ham hi jawaabon me zaroori to nahi

Dil me jazbaa na ho phir bhi yun muskurate rahen
Aisa ho sakta hai lekin ye zaroori to nahi

Kisi thokar ne sikhaya tha ke bachna kaise
Sabko thokar ye sikhaye ye zaroori to nahi

Aaj ki shaam pareshaan hai to wo hanste hain
Har ek shaam pe shikan ho zaroori to nahi

लिफ़ाफ़े ( एक नज़्म )

उनकी यादों के लिफ़ाफ़े को आज खोला है  कितनी प्यारी सी ये तस्वीर मिली है मुझको  जी में आता है के सारे वो लम्हे फिर से जिऊँ    क्या ख़बर कौन से प...