Friday, January 13, 2006

Koi nahi dikhtaa

Jo dekhta hoon aaina to mai nahi dikhta
Apne baare me chaah kar bhi kuchh nahi likhta
Azal se chaashnii parakh-parakh rahe hain sabhi [azal = since long time, chaashnii = sugar syrup]
Khareed daar beshumaar mai nahi bikta [khareed daar = buyers, beshumaar = huge]

Ye aankh kee lakeer jo bhigo ke jaataa hai
Surkh aansoo ka sa lagta lahoo nahi dikhtaa [surkh = red, lahoo = blood]
Azal se chaashnii parakh-parakh rahe hain sabhi

Khareed daar beshumaar mai nahi bikta

Itni paabandi lagaakar mere hamdam mere dost
Aaj bhi chehra tera khushnuma nahi dikhtaa
Azal se chaashnii parakh-parakh rahe hain sabhi
Khareed daar beshumaar mai nahi bikta

Qatl kar paaye mere diqqat-e-khayaalon ko [diqqat-e-khayaal = troublesome thought]
Aaj maanind koi hamsafar nahi dikhtaa [maanind = similar]
Azal se chaashnii parakh-parakh rahe hain sabhi
Khareed daar beshumaar mai nahi bikta

Mujhko samjhaana hai mushkil ye maine maan lia
Meri baatein bhi samajhta koi nahi dikhtaa
Azal se chaashnii parakh-parakh rahe hain sabhi
Khareed daar beshumaar mai nahi bikta

Aaj mai tanhaa is kadar kisi talaash me hoon
Aur koi bhi mujhe gumshudaa nahi dikhtaa [gumshudaa = lost]
Azal se chaashnii parakh-parakh rahe hain sabhi
Khareed daar beshumaar mai nahi bikta

Jo dekhta hoon aaina to mai nahi dikhta
Apne baare me chaah kar bhi kuchh nahi likhta

0 comments:

Post a Comment