Wednesday, October 25, 2006

ज़माने बिता दिये

मिल्ने की ख्वाहिशों में ज़माने बिता दिये
और जब वो मिल गया तो ज़माने बिता दिये

छोटी सी बात कहने की इक आरज़ू मेरी
छोटी सी बात कहने में ज़माने बिता दिये

सांसें तो चल रही थी मगर जी नहीं सके
मरने की ख्वाहिशों में ज़माने बिता दिये

है प्यार क्या खबर है ज़माने को आजकल
जिसकी थी आरज़ू वो ज़माने बिता दिये

बच्पन की याद को किया मासूम दिल ने फिर
बच्पन की कोशिशों में ज़माने बिता दिये

पाने की आरज़ू थी जिसको ऎ ज़िन्दगी
उसकी ही आरज़ू में ज़माने बिता दिये

बारिश की आस दिल को तसल्ली दिला गई
बादल को देख कर ही ज़माने बिता दिये

कहते हैं प्यार में विवेक रुसवाईयां भी हैं
रुसवाई के सबब में ज़माने बिता दिये

Monday, October 09, 2006

मैनें मै पी है आज आंखों से

मैनें मै पी है आज आंखों से
ज़िन्दगी जी है आज आंखों से

जो बात कह न सका कर न सका लफ़्ज़ों से
वो बात की है आज आंखों से

इक हसीं रात जिसे देख्नने की कोशिश थी
वो देख्न ली है आज आंखों से

जिस तसल्ली के लिये ठोकरें खाई थी कभी
वो तुमने दी है आज आंखों से

जो वासतों का, सबब का सवाल करते थे
वो हमन्शीं हैं आज आंखों से

उस्की बेताब सी नज़रों में मौज की लहरें
कैसे ठहरी हैं आज आंखों से

एक दिन ख्नाब में साक़ी से क्या कही थी विवेक
वही कही थी जो कही है आज आंखों से

ये भी हमें मालूम न था

सच और झूठ किसे कहते हैं
ये भी हमें मालूम न था
हम किस्के घर में रहते हैं
ये भी हमें मालूम न था

रात का साथी दिन को बिछ्ड़ा
तो कुछ बाद्ल घिर आये
दिन और रात इसे कहते हैं
ये भी हमें मालूम न था

घर की याद कभी जब आई
तो आई की याद आई
घर पे मां तनहा रहती है
ये भी हमें मालूम न था

थोड़ी दूर पे दैर-ओ-हरम है
फिर भी भटकते हैं सारे
कौन ख़ुदा है कौन तमाशा
ये भी हमें मालूम न था

कैसी क़सद है कैसी क़सद है
जीना मरना दूभर है
जीते रहना अपनी सज़ा है
ये भी हमें मालूम न था

बारिश से बचकर जो निकले
फ़िसलन से ना बच पाये
सबके नसीब में येही लिखा है
ये भी हमें मालूम न था

ख़ुद अपने ही हाथों सूली
चढ़ने की ठानी हमनें
दुनियादारी एक सज़ा है
ये भी हमें मालूम न था

तुमको क्या मालूम है कहते
तुम तो ठहरे अनजाने
दुनिया को मालूम है सबकुछ
ये भी हमें मालूम न था

Kya kahen rang zamaane waale

Kya kahen rang zamaane waale
Kaise hotay hain shabaane waale [shabana = of night]
Apne hote hain waadashikan aksar [waadashikan = one who voids promise]
Gair hotay hain nibhaanay waale

Ta umar aur zara chand fuloos [fuloos = money]
Kaun rukta hai yahan
Tum bhi ho jaanay waale

Dil ka astar to purza purza hai [astar = base]
Phir bhi aatay hain silaanay waale

Koi ashraf nahi hotaa hai yahaan [ashraf = gentleman]
Bas dikhaatay hain dikhaane waale

Asliyat ko bhi jaan jaaogay
Aa gaye gar nahi aane waale

Harkatein ki to ungliyaan uthheen
Tum bhi to thehray zamaane waale

Ab talak laut ke aatay hi rahe
Hamko lekar kahin jaanay waale

Hamse matlab to ban chuka sabka
Ab kahan saath nibhaanay waale

Goonjtee hain dhadkanen meree
Kaun hain gasht lagaane waale

Kya tasalli mujhay dilaayenge
Door se paas bulaane waale

Kaise aatay hain rehnuma ban kar
Ek galat raah dikhaane waale

Chup raho aur pareshaan na karo
Hamse kehte hain sataane waale

Hamne ye pyaar to naahaq hi kia
Aaj kehte hain bataane waale

Phir kabhi aake zara dekh to le
Ik dafa shakl dikhanay waale

Dam bharo ya na bharo kuchh bhi karo
Ud hi jaatay hain na aaneay waale

Raat bhar jaaganay ki koshish may
So hi jaatay hain jagaanay waale

Chaaho to waada hamsay kar lo magar
Aur hotay hain nibhaanay waale

Aaj khaaye hain taaza zakhm Vivek
Wo khaday hain na jalaanay waale

Dil me aaye to sher likhtay gaye
Ab sunaayengay inhe gaane waalay

Ishq ki hud ko paar kar baitha

Ishq ki hud ko paar kar baitha
Pyar ke baad pyaar kar baitha
Log aadil ki baat karte hain [aadil = judgement]
Galatiyan baar baar kar baitha

Unke aate hi sar-e-bazm-e-mazaar
Aankh do se mai chaar kar baitha

Dil sambhala tha ek arse se
Ab isay taar taar kar baitha

Aisi baatein jo rat jagaati mujhay
Din dihaade mai yaad kar baitha

Kya hua kya pata kya hota hai
Dhadkanaen beshumaar kar baitha

Ik sifat ho to mai bataaoon Vivek
Unki aankhen mai yaad kar baitha

Ishq ki hud ko paar kar baitha
Pyar ke baad pyaar kar baitha

Monday, July 10, 2006

Kuchh lafz jod jao na

Itna bhi kya purzor ho wafa me aap tum
Ke ho chuka bahot abhi to rooth jao na

Ye maana ke paaband ho apni zubaan se tum
Hamse kia waada bhi kabhi to tod jao na

Hamne to ek arsa tujhe chhod ke dekhaa
Tum ik nazar hi dekh mujhay chhod jao na

Shayad meri raahon me koi mod hi nahi
Mere liye kuchh raah apni mod aao na

Bikhre paday hain lafz kuchh tere khayal ke
Kuchh sur taraash ke inhe tum jod jao na

Aawaaz sunne ko yahan jaan pe hai ban padi
Atki padi hai jaan Vivek khol jao na

Thursday, March 23, 2006

Ye zubaaN kehne ko tarastee hai

But hue ham jo tumko dekh lia [But = Idol]
Ab to bas husn ki parasti hai [Parasti = Worship]
Shokh nazaron se zara dekho to [Shokh = Attractive]
Ye zubaaN kehne ko tarastee hai

Husn paya hai tumne ya nusrat [Nusrat = Victory]
Teri aankhon me abr-e-masti hai [cloud of enjoyment]
Ham hue hain tere deewane sanam
Ye zubaaN kehne ko tarastee hai

Aaj kehne do hame dunia se
Too hi too mere dil me basti hai
Apni aankhon se hame chup na karo
Ye zubaaN kehne ko tarastee hai

Tum kaho ya na kaho kuchh na kaho
Ye mera dil hai dil ki basti hai
Tum yahan aao phir na jaao kahin
Ye zubaaN kehne ko tarastee hai

Ye ghazal tere tassavvur se likhi
Warna apni bhi koi hasti hai [existence]
Too hi shayar hai mere ghazlon ki
Ye zubaaN kehne ko tarastee ha

Sunday, March 05, 2006

Yaad aate ho magar..

Kuchh nahi to meri tasveer ko aage rakhna
Kya pata kab tera dil aankh milana chaahe

Tujhko kya chaandni ke noor ki aadat si hui
Bujh gai shamma to too dil ko jalana chaahe

Haath hardam hi kisi dost ka thaama hamne
Aaj qaatil se ye dil haath milaana chaahe

Ham wafa karte hain aur tumko koi ilm nahi
Kaise na-shukra se dil pyar nibhaanaa chaahe

Josh me hosh na hota to tujhe paa lete
Ek mauka mile dil hosh gawaana chaahe

Ham to hardam hain tujhe bhoolne ki koshish me
Yaad aate ho magar jab bhi bhulaana chaahen

Hamne to dil ki siyahi se tujhpe likkhi ghazal
Aur too hai ke bahaanon se mitaana chaahe

Sunday, February 19, 2006

Zaroori to nahi

Ibtedaa ham karen har baar zaroor to nahi
Tumhari baat munaasib ho zaroori to nahi

Imtehaan lete hamara to sabak padh lete
Imtehaan leke sabak dena zaroori to nahi

Be-sabab baat badhate ho chalo so jaao
Raat ke baad subaha na ho zaroori to nahi

Kabhi hame bhi sawaalon ka ittefaq to do
Hameshaa ham hi jawaabon me zaroori to nahi

Dil me jazbaa na ho phir bhi yun muskurate rahen
Aisa ho sakta hai lekin ye zaroori to nahi

Kisi thokar ne sikhaya tha ke bachna kaise
Sabko thokar ye sikhaye ye zaroori to nahi

Aaj ki shaam pareshaan hai to wo hanste hain
Har ek shaam pe shikan ho zaroori to nahi

Friday, January 13, 2006

Koi nahi dikhtaa

Jo dekhta hoon aaina to mai nahi dikhta
Apne baare me chaah kar bhi kuchh nahi likhta
Azal se chaashnii parakh-parakh rahe hain sabhi [azal = since long time, chaashnii = sugar syrup]
Khareed daar beshumaar mai nahi bikta [khareed daar = buyers, beshumaar = huge]

Ye aankh kee lakeer jo bhigo ke jaataa hai
Surkh aansoo ka sa lagta lahoo nahi dikhtaa [surkh = red, lahoo = blood]
Azal se chaashnii parakh-parakh rahe hain sabhi

Khareed daar beshumaar mai nahi bikta

Itni paabandi lagaakar mere hamdam mere dost
Aaj bhi chehra tera khushnuma nahi dikhtaa
Azal se chaashnii parakh-parakh rahe hain sabhi
Khareed daar beshumaar mai nahi bikta

Qatl kar paaye mere diqqat-e-khayaalon ko [diqqat-e-khayaal = troublesome thought]
Aaj maanind koi hamsafar nahi dikhtaa [maanind = similar]
Azal se chaashnii parakh-parakh rahe hain sabhi
Khareed daar beshumaar mai nahi bikta

Mujhko samjhaana hai mushkil ye maine maan lia
Meri baatein bhi samajhta koi nahi dikhtaa
Azal se chaashnii parakh-parakh rahe hain sabhi
Khareed daar beshumaar mai nahi bikta

Aaj mai tanhaa is kadar kisi talaash me hoon
Aur koi bhi mujhe gumshudaa nahi dikhtaa [gumshudaa = lost]
Azal se chaashnii parakh-parakh rahe hain sabhi
Khareed daar beshumaar mai nahi bikta

Jo dekhta hoon aaina to mai nahi dikhta
Apne baare me chaah kar bhi kuchh nahi likhta

लिफ़ाफ़े ( एक नज़्म )

उनकी यादों के लिफ़ाफ़े को आज खोला है  कितनी प्यारी सी ये तस्वीर मिली है मुझको  जी में आता है के सारे वो लम्हे फिर से जिऊँ    क्या ख़बर कौन से प...